رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

Judicial Complex hamla case: Imran Khan ko video link par pesh karne ka hukm, sabiq wuzara ishtihari qarar

Judicial Complex hamla case: Imran Khan ko video link par pesh karne ka hukm, sabiq wuzara ishtihari qarar

Islamabad (Atemad Desk): Anti-Terrorism Court Islamabad ne Judicial Complex hamla case mein bani PTI Imran Khan ko jismani taur par ya video link ke zariye court mein pesh karne ka hukm diya hai.

ATC ke judge Tahir Abbas Sipra ne bani PTI aur deegar mulzimaan ke khilaf case ki sunwai ki. Court ne sabiq wafaqi wuzara Farrukh Habib, Hammad Azhar, Murad Saeed aur Shibli Faraz ko ishtihari qarar dete hue un ki jaidadon ki tafseelat talab kar leen.

Court ne Punjab Assembly ke sabiq deputy speaker Wasiq Qayyum aur PTI ke rukn soobai assembly Hasan Khan Niazi ke na-qabil-e-zamanat warrant-e-giraftari bhi jari kar diye.

Case ki mazeed sunwai 5 November tak multawi kar di gayi. PTI rehnumaon ke khilaf yeh muqadma thana Ramna mein darj hai.