Jeevan saathi ka intikhab industry se nahin karungi: Nawal Saeed

Social Media ke mukhtalif platforms par adakara Nawal Saeed ka haalia bayan viral ho raha hai jis mein unhon ne kaha ke jeevan saathi ka intikhab industry se nahin karungi, life partner muntakhib karne ka faisla career ka intikhab karne se kahin zyada mushkil aur ek jua hai.
Un ka kehna hai ke career mein aap hamesha nayi cheezein seekh sakte hain ya apna rasta badal sakte hain lekin life partner ka intikhab itna aasan nahin kyunke aap kabhi nahin jaan sakte ke koi insan aage chal kar kaisa nikle ga.
Nawal Saeed ne wazeh kiya ke jab bhi woh shadi karengi, Showbiz industry se bahar ke kisi shakhs ka intikhab karne ko tarjeeh dengi.
Adakara ka kehna tha ke apne ideal life partner ke hawale se woh kisi ameer ya bohat mashhoor shakhsiyat ke bajaye ek rawadar, izzat karne wale, meherban aur saada mizaj insan ko tarjeeh deti hain.











