Israeli companiyon par Al Jazeera ke sahafiyon ki Ishtiharat ke zariye jasoosi ka ilzam, Citizen Lab ki report

Toronto: Israeli companiyon ne Ishtiharat ke zariye Arab media, khusoosan Al Jazeera ke sahafiyon ke phones aur computers hack kar liye. University of Toronto ke cyber research idare Citizen Lab ne inkishaf kiya hai ke 2024 aur 2025 ke douran Israeli advertising firm ne aam Ishtiharat ke zariye zero click jasoosi ka jaal bichhaya.
Al Jazeera ki technical team ne 2024 mein apne system mein ghair maamooli sargarmi dekhi thi, jis ke baad unhon ne Citizen Lab ko tehqeeqat ke liye bulaya. Al Jazeera ne ise press freedom par hamla qarar dete hue mukammal azad tehqeeqat ka mutalba kiya hai.
Kisi click ki zaroorat nahin padi
Report ke mutabiq sahafiyon ko kisi link par click karne ki bhi zaroorat nahin padi. Jaise hi mobile ya computer par ek aam sa ishtihar, masalan mobile phone ya earbuds ka, screen par aaya, usi lamhe Israeli company ka tayyar kardah muhlik spyware device mein dakhil ho gaya. Mahireen ne is Technology ko Ad Fiction ka naam diya hai. Yeh duniya mein pehli baar hai ke online Ishtiharat ko hathiyar bana kar sahafiyon ko hack kiya gaya.
Report ke mutabiq Al Jazeera ke kam az kam 45 sahafiyon aur staff ke computers mein yeh virus dakhil hua. Ek baar dakhil hone ke baad hackers tamam files, dastavezat, emails aur passwords chori kar sakte the. Is ke zariye hacker ko keyboard par type hone wale har lafz, screenshots, mic, camera, WhatsApp aur deegar messages tak bhi rasai mil jati hai.
Tehqeeq mein inkishaf hua ke yeh jasoosi Ishtiharat 1 lakh 20 hazar websites aur 75 hazar mobile apps par chalaye gaye. Google ne Discover-Tech ko apni policies ki khilaf warzi par blacklist kar diya hai jabke European ishtihari idare ne bhi ise muattal kar diya hai.
Yaad rahe 2020 mein bhi 36 Al Jazeera sahafiyon ke phone Israeli NSO group ke Pegasus software se hack hue the.











