رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 12° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Iran ke raste ghair qanooni Iraq jaane wale 17 musafiron ke khilaf muqadma darj

Iran ke raste ghair qanooni Iraq jaane wale 17 musafiron ke khilaf muqadma darj

FIA ke mutabiq Islamabad airport par immigration clearance ke dauran 17 musafiron ke passports IBMS mein hit hue, safri record ki janch par tamam musafiron ke naam PNIL par maujood paye gaye.

Ibtidai tafteesh mein mulzimaan ne Iran ke raste ghair qanooni tor par Iraq jaane ka inkishaf kiya, mulzimaan ke mutabiq unhon ne agent Kamil Hussain ko fi kas aik lakh 20 hazar rupay ada kiye the.

FIA hukkam ke mutabiq Iraq pahunchne par Iraqi police ne mulzimaan ko giriftar karke jurmana aid kiya, baad azan unhein Pakistan deport kar diya gaya.

Hukkam ka kehna hai ke agent Kamil Hussain aur digar mumkina sahulat karon ke kirdar ka taayun tafteesh ke dauran kiya jaye ga, muqadme ki tafteesh inspector Muhammad Azeem ke supurd kar di gayi hai.

FIA ne ghair qanooni immigration aur insani smuggling mein mulavviss anasir ke khilaf karrawaiyan jari rakhne ke azm ka izhar kiya hai.