Hum Iran samet har maidan mein kamyab ho rahe hain: Trump

Sadr Trump ne kaha ke Iran ki maeeshat aur fauj tabahi ke bhanwar mein phans chuki hai, intehaa pasand Democrats jaali surveys ke zariye pagal pan ki hadd cross kar rahe hain.
American sadr ne kaha ke jaali surveys ka maqsad Republicans ka hausla torna hai taake woh vote dalne na niklein, haqiqi raye shumariyon ke nataij intehai shandar hain.











