Haniya Aamir ka pehla gana ‘Pablo’ release, mukhalifeen ko do-took jawab

Gana ‘Pablo’ Haniya Aamir ne khud likha aur compose kiya hai, gane ka aaghaz piano ki dhun se hota hai jo adakara ke mamool ke masoom aur shokh andaz se mutabiqat rakhti hai taham is ke baad gana Punjabi hip hop ki tarz ikhtiyar kar leta hai.
Haniya Aamir gane mein un logon ko mukhatib karti hain jo un ke mutabiq unhein is liye ‘jaali’ samajhte hain ke woh bahut khoobsurat hain jabke woh yeh bhi kehti hain ke log unhein hadd se zyada mohtaat samajhte hain.
Adakara ne mukhalifeen ke liye Punjabi bol bhi gaye jin ka mafhoom yeh hai ke hum hans rahe hain jabke aap peechhe baithe jal rahe hain, hum sukoon se hain aur aap roz jhagra karne ki koshish kar rahe hain, gane mein Haniya Aamir apni maqbooliyat ka bhi zikr karti hain.
Mauzuaat:Pakistani Showbiz











