رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Hania Aamir out of control ho rahi hain: Jia Ali

Hania Aamir out of control ho rahi hain: Jia Ali

Jia Ali ne haal hi mein aik programme mein shirkat ki, jahan un se Hania Aamir aur Durefishan Saleem mein se kisi aik adakara ka intikhab karne ko kaha gaya.

Jia Ali ne Hania Aamir ka intikhab kiya, tahum un ke bare mein baat karte hue kaha ke Hania Aamir aik behtareen adakara hain aur Pakistan ka chehra hain, is liye unhein apne rawaiye ka khayal rakhna chahiye.

Sabiq super model ne Hania Aamir ko mukhatib karte hue kaha ke woh out of control ho rahi hain, adakara ke bare mein kiye gaye yeh tabsire samne aane ke baad Showbiz halqon aur Social Media par bhi is guftagu par behes shuru ho gayi hai.