Hamla karke bach nikalne ka daur khatam, peecha kar ke bharpoor jawab denge: Iran ka America ko intibah

Tehran: Iran ne America ko khabardar kiya hai ke ab hamla karke bach nikalne ka daur khatam ho chuka hai, hum peecha karenge aur bharpoor jawab denge.
Yeh baat Irani wizarat-e-kharija ke tarjuman Ismail Baqai ne haftawar press briefing mein kahi. Unhon ne muahidon aur waadon ki khilaf warzi ke Amriki sabiqa record ko aitemad ke fuqdan ki badi wajah qarar diya.
Tarjuman ne kaha ke is ke bawajood Iran ab tak safarti koshishon se dastbardar nahin hua balke muzakrat ko sarahta hai. Un ke mutabiq muzakrat barabri ki bunyad aur thos zamanaton par hone chahiyen jis ka saboot America apne kirdar se bhi faraham kare.
Ismail Baqai ne kaha ke Iran pehle bhi amali taur par saabit kar chuka hai ke kisi hamla awar ko jawab diye baghair nahin chhora jayega balke zaroorat parne par is se zyada sakht radd-e-amal diya jayega.
Jang bandi muzakrat aur Irani sharait
Irani tarjuman ne kaha ke jang bandi muzakrat mein kisi bhi safarti pesh raft mein sab se badi rukawat Amriki mutalibat hain. Iran ne apne tahaffuzat aur sharait Qatar ke zariye America tak pahuncha di hain lekin Amriki jawab nakafi hai.
Unhon ne bataya ke Irani sharait mein tamam mahazon par jang ka khatma, munjamid Irani asasson ki bahali aur behri nakabandi khatam karna shamil hai.
Strait of Hormuz ke hawale se unhon ne kaha ke Iran ne is aham behri raste ko dobara kholne ke liye saat rozah mansooba bhi pesh kiya hai, taham is par pesh raft ke liye Amriki sharait mein lachak zaroori hai.
Ismail Baqai ne khaleeji mumalik par zor diya ke woh apni sarzameen Iran ke khilaf fauji karrwaiyon ke liye istemal na hone den.
Unhon ne Rusi wazir-e-kharija Sergey Lavrov ke haliya daura-e-Tehran ko maamool ki mushawarat qarar dete hue wazeh kiya ke is daure mein jawhari muzakrat nahin hue.











