رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 12° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Germany mein hamlon ki sazish: Irani safarat khane ne Hamburg adalat ka faisla mustard kar diya

Germany mein hamlon ki sazish: Irani safarat khane ne Hamburg adalat ka faisla mustard kar diya
File photo: Hamburg ki aala alaqai adalat ki imarat — Tasveer: Bashukriya Wikipedia

Berlin: Germany mein Irani safarat khane ne Hamburg ki adalat ke is faisle ko mustard kar diya hai jis mein Germany mein yahudi aur Israel nawaz shakhsiyat par hamlon ki mansooba bandi mein Irani intelligence service ke talluq ka zikr kiya gaya tha. Safarat khane ne faisle ko ghair motabar qarar diya hai.

Ghair mulki media ke mutabiq safarat khane ne Tehran ke khilaf ilzamat ko bebunyad qarar diya aur Maghrib ke is tarz-e-amal par tanqeed ki jise us ne dohra miyar kaha. Safarat khane ke mutabiq yeh faisla Iran ke khilaf siyasi muhim ka hissa hai.

Adalat ka faisla

Jumeraat, 13 October ko Hamburg ki aala ilaqai adalat ne Iran ke liye jasoosi ki sargarmiyon aur Germany mein yahudi aur Israel nawaz shakhsiyat par hamlon ki mansooba bandi mein shirkat ke ilzam mein do afraad ko qaid ki sazayen sunayin.

Adalati faisle ke mutabiq Denmark ke shehri Ali S. ko aath saal aur chhe maah, jabke Afghan shehri Tawab M. ko chaar saal aur chhe maah qaid ki saza sunayi gayi.

Judges ne kaha ke Ali S. ko Irani intelligence service ne bharti kiya tha aur woh Germany mein pur tashaddud karwayion ke liye us ki hidayat par kaam kar rahe the.

Mansoobe ke mumkina ahdaf mein Germany mein yahudiyon ki markazi council ke sadr Josef Schuster aur German Israeli association ke sadr Volker Beck shamil the.

Germany ke wazir-e-kharija Johann Wadephul ne bhi jumay ko Hamburg ki adalat ke faisle ka hawala dete hue kaha ke Europe Iran ke nishane par hai. Unhon ne kaha ke Germany yahudiyon aur mulk ke deegar shehriyon ke khilaf kisi bhi qism ki karwayion ko bardasht nahin karega.

Mauzuaat: