رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 8° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

Gaza mein beghar khandanon ko panah dene wali imarat munhadim, 21 Palestinian jaan bahaq

Gaza mein beghar khandanon ko panah dene wali imarat munhadim, 21 Palestinian jaan bahaq

Media reports ke mutabiq munhadim hone wali imarat jang ke ibtidai dinon mein Israeli hamle ke baais juzvi taur par tabah ho gayi thi, taham budh ke roz imarat achanak mukammal taur par munhadim ho gayi.

Gaza ki wizarat-e-Sehat ke tarjuman Zaher Al Wahidi ke mutabiq jaan bahaq hone walon mein 11 bachche bhi shamil hain.

Rescue teamon aur shehri difa ke ahlkaron ne malbe se lashein nikalin, jabke malbe tale dabe zinda afrad aur lapata afrad ki talash tahaal jari hai.

Reports ke mutabiq imarat ke achanak munhadim hone ki fori taur par koi wazeh wajah samne nahin aa saki. Jang ke dauran Gaza mein bari tadad mein imaratein tabah ya mutasir ho chuki hain, jis ke baais kamzor imaraton ke munhadim hone ka khatra barh gaya hai.

Dusri jaanib jang bandi ko taqriban ek saal guzarne ke bawajood Gaza mein bare paimane par tameer-e-nau ka amal shuru nahin ho saka. Israel ka mauqif hai ke Hamas ke ghair musallah hone tak tameer-e-nau ki ijazat nahin di jaye gi