Field Marshal Asim Munir Peer ko Tehran ka daura karein ge, Irani wizarat-e-kharija

Irani wizarat-e-kharija ke tarjuman Ismail Baqai ne kaha hai ke Field Marshal Asim Munir Peer ko Tehran ka daura karein ge, daure ke dauran aham mulaqatein hongi.
Irani wizarat-e-kharija ke tarjuman Ismail Baqai ne kaha Field Marshal Asim Munir ke daure ka maqsad Pakistan aur Iran ke darmiyan do-tarfa taawun ko mazeed mazboot banana hai.
Tarjuman Irani wizarat-e-kharija ne kaha ke Field Marshal Asim Munir ka daura khitte mein aman o salamati ke farogh ke liye Pakistan ki koshishon ka tasalsul hai, daure ke dauran bahami dilchaspi ke umoor aur do-tarfa taawun ke farogh par tabadla-e-khayal kiya jaye ga.
Dusri jaanib Irani sadr Masoud Pezeshkian ne taqreeb se khitab mein kaha Iran is waqt bhi haalat-e-jang mein hai, mulk mukammal maashi, fauji aur security jang ka samna kar raha hai, hum America ki sakht pabandiyon ke samne sabit qadam hain, Iran ghair-musawi jang ka muqabla karne ki koshish kar raha hai.
Mazeed kaha America ne Iran ko Venezuela banane ki koshish ki magar woh nakam raha, dushman chahta tha ke Iran tabah ho jaye lekin aisa nahin ho saka, Iran mazboot ittehad se dunya ko hairan karne wali taqat ban kar ubhra, umeed hai awam ko darpesh mushkilat par jald qabu pa lein ge.











