رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Dananir Mubeen ne gulukari ki duniya mein qadam rakh diya, pehla gana ‘Touch’ release

Dananir Mubeen ne gulukari ki duniya mein qadam rakh diya, pehla gana ‘Touch’ release

Dananir Mubeen ne mudah’on ko apne naye gane ki khabar dene ke liye Instagram par ek promotional video share ki, adakara ne bataya ke ‘Touch’ ki tayyari mein khasi mehnat ki gayi hai aur unhein umeed hai ke shaiqeen is gane ko pasand karenge.

Music track ‘Touch’ mein Dananir Mubeen ke sath gulukar Haider Mustehsan ne bhi apni awaz ka jadu jagaya hai, gane mein tez aur jandar rhythm ke sath tawanai se bharpoor music ko numayan kiya gaya hai, jo ise munfarid andaz ka pop track banata hai.

Dananir Mubeen is se qabl Social Media par apni viral Videos ke zariye shohrat hasil kar chuki hain, jis ke baad unhon ne adakari ke maidan mein bhi qadam rakha aur ‘Sinf-e-Aahan’ aur ‘Mohabbat Gumshuda Meri’ jaise maqbool dramon mein adakari ke jauhar dikhaye.

Social Media se shohrat hasil karne ke baad adakari aur ab mausiqi ke maidan mein qadam rakhna Dananir Mubeen ke fanni safar ka ek aur aham marhala qarar diya ja raha hai.

‘Touch’ ki release ke sath hi Dananir Mubeen ne apne fan ka daira adakari se barhate hue mausiqi ko bhi apne career ka hissa bana liya hai, gane ko shaiqeen ki janib se kaisa rad-e-amal milta hai, is ka andaza aane wale dinon mein