Bomb ki ittila par Bulgaria mein utri parwaz clear, 5 ghantay se zaid scanning ke baad Vienna rawana

Tel Aviv: Bomb ki ittila par Bulgaria mein hangami landing karne wali Israel ki parwaz clear kar di gayi.
Aviation zarai ne bataya ke Austrian Air ki parwaz Sofia airport se manzil Vienna ke liye rawana ho gayi.
Zarai ke mutabiq bomb ki ittila par emergency declare kar ke parwaz ne hangami landing ki thi. Musafiron aur saman ke alawa tayyare ki scanning mein 5 ghantay se zaid waqt laga.
Zarai ne bataya ke Aqwam-e-Muttahida mein taqreer ke liye jane wale naujawanon ka wafd bhi tayyare mein sawar tha. Tayyare mein bomb ya aik mushkook cheez ki mojoodgi ke shubhe mein emergency code jari kiya gaya tha.
Parwaz ke dauran amle ko jahaz mein bomb ya kisi mushkook shay ki mojoodgi ki namaloom ittila mausool hui thi.
Tayyara Bulgaria ki sarhad ke qareeb 36000 hazar feet ki bulandi par tha ke rukh mor kar Sofia airport par hangami landing ki gayi, jis ke baad tayyare ko forces ne gher liya tha.











