American Central Command ki Iran ke 3 oil tankers ko nishana banane ki tasdeeq

CENTCOM ke mutabiq jazira Kharg ke qareeb Iran ke 3 oil tankers ko nishana banaya gaya, American fauj Iran ke jawabi hamlon se bachne mein kamyab rahi aur American fauj ka koi ahlkar halak ya zakhmi nahin hua.
American Central Command ke mutabiq Irani oil tanker Downey ko jazira Kharg ke qareeb nakara banaya gaya, Irani oil tanker Stark 1 ko Jask ke qareeb tabah kiya gaya jabke Khaleej Oman mein Noxon naami Irani oil tanker bhi tabah kar diya gaya.
CENTCOM ka kehna hai ke teenon oil tankers Pasdaran-e-Inqilab ke khufia arbon dollar ke maali network ka hissa the.
American Central Command ne khabardar kiya ke American behri jahazon ko nishana banaya to badi qeemat chukana hogi, zaroorat parne par Iran ka mehdood oil fleet tabah kar denge.
CENTCOM ke mutabiq Iran ne 2 American jangi behri jahazon ko ballistic missiles se nishana banane ki koshish ki, Irani hamlon ko nakam bana diya.
American Central Command ke mutabiq Irani oil tankers par ballistic missile hamlon ke jawab mein karrawai ki gayi.











