رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

America Iran tanazea ka wahid qabil-e-amal hal muzakrat aur safarat kari hai: China

America Iran tanazea ka wahid qabil-e-amal hal muzakrat aur safarat kari hai: China

Chini wizarat-e-kharija ke tarjuman ne Beijing mein sahafiyon se guftagu karte hue kaha ke Iran ke mamle par muzakrat hi maujooda kashidagi se nikalne ka wahid qabil-e-amal rasta hain.

Chini tarjuman ne Iran ke khilaf America ki janib se nai iqtisadi pabandiyon ke tanazur mein kaha ke China ghair qanooni aur yaktarfa pabandiyon ki mukhalifat karta hai.

Unhon ne kaha ke Iran ke mamle par China ka moaqqaf wazeh aur mustaqil hai, jabke kashidagi ke khatme ke liye tamam fariqon ko muzakrat aur safarat kari ke zariye masle ka hal talash karna chahiye.