America Iran jang se Iraq ko taqriban 60 arab dollar ka nuqsan, maeeshat dabao mein

Baghdad: Middle East mein America aur Iran ke darmiyan jang ke baais Iraq ko taqriban 60 arab dollar ka nuqsan hua hai. Tel ki baramdat mein kami, zarmubadla ke zakhair mein girawat aur Mehngai ne mulki maeeshat ko shadeed dabao se dochar kar diya hai.
Alami khabar rasan idare ke mutabiq Iraqi wazir-e-kharija Fuad Hussein ne Rome mein apne Italvi hum mansab se mulaqat ke dauran khitte mein jari kashidagi ke mulki maeeshat par asrat se agah kiya.
Tel ki baramdat aur zakhair
Iraqi wizarat-e-tel ke aadad o shumar ke mutabiq yakum se 21 September ke dauran mulk ki tel ki baramdat yaumiya 26 lakh barrel rahin. Iraq ki maeeshat ka zyada tar inhisar tel par hai, jo hukumati aamdani ka taqriban 90 fisad faraham karta hai.
Report ke mutabiq maeeshati mushkilat ke baais zarmubadla ke zakhair mein 20 arab dollar ki kami hui, jabke ashya-e-zaruriya ki qeematon mein bhi tezi se izafa record kiya gaya.
Maeeshati dabao kam karne ke liye Iraqi markazi bank ne guzishta hafte teen saal se zaid arse mein pehli bar American dollar ke muqable mein Iraqi dinar ki qadr mein kami ki.
Iraq tel ki farokht se hasil hone wale dollar baramdat ki adaigi, mulki currency ko mustahkam rakhne aur sarkari mulazimin o pensioners ki tankhwahon ki adaigi ke liye istemal karta hai. Tel ki baramdat mutasir hone se in mali zimmedariyon ko poora karna mazeed mushkil ho gaya hai.
Ghair tel aamdani ka hadaf
Hukkam ke mutabiq Iraq ne 2037 tak ghair tel zaraye se hasil hone wali aamdani ka hissa mojuda 10 fisad se barha kar 45 fisad karne ka hadaf muqarrar kiya hai, taake maeeshat ka tel par inhisar kam kiya ja sake.
Wazeh rahe ke jang ke dauran tel ki paidawar mein numayan kami ke baad guzishta mah Iraq ki baramdat mein mamooli behtari aayi, taham mulk ko ab bhi shadeed maeeshati mushkilat ka samna hai.











