Aimah Baig darwaze se takra kar zakhmi ho gayin

Pakistani gulukara Aimah Baig hadsati taur par darwaze se takra gayin jis se chehre aur aankh ke gird chot aayi.
Aimah Baig ne Instagram Stories par apni tasveer share ki, jis mein un ke chehre par chot ke wazeh nishanat dikhayi diye. Gulukara ke mutabiq woh pehle hi flu, gale ki takleef aur bukhar mein mubtala thin ke isi dauran un ka chehra zor se darwaze se takra gaya, jis ke bais aankh ke atraf shadeed chot aayi aur unhein kafi takleef ka samna karna para.
Baad azan Aimah Baig ne subah taqriban sarhe 4 baje ek video share kar ke muddahon ko apni Sehat ke bare mein update kiya. Gulukara ne bataya ke chot ke baad woh mutasira hisse par musalsal baraf laga rahi hain aur un ke mutabiq is se qabl unhein kabhi itna bara neel nahin para tha.
Mauzuaat:Pakistani Showbiz











