رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Adakara Neelam Muneer ne bete ka naam bata diya

Adakara Neelam Muneer ne bete ka naam bata diya

Adakara ne yeh khush khabri Social Media platform Instagram par muddahon ke sath khusoosi andaz mein share ki, jis ke baad un ke han bachche ki paidaish se mutaliq jari qayas arayon ka khatma ho gaya.

34 sala Neelam Muneer ne Instagram par ek tasveer share ki, jis mein woh hospital ke bistar par apne nomolud bete ko god mein liye baithi hain, tasveer mein adakara ne gehre rang ka hospital ka libas pehen rakha hai, jabke bachcha safed kambal mein lipta hua hai, adakara ne nomolud ka chehra emoji ke zariye chhupa rakha hai.

Tasveer ke sath apne paigham mein Neelam Muneer ne likha ke woh lamha jab main kisi ki poori duniya ban gayi, Alhamdulillah! Mera nanha shehzada Muhammad Hamdan meri woh dua hai jo qabool hui, meri zindagi ki sab se badi nemat.