رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Adakara Neelam Muneer ke han bete ki paidaish, shohar ke dost ne TikTok par khushkhabri di

Adakara Neelam Muneer ke han bete ki paidaish, shohar ke dost ne TikTok par khushkhabri di

Dubai (Atemad Desk): Pakistani adakara Neelam Muneer ke han bete ki paidaish hui hai, taham yeh elan adakara ne khud nahin balke un ke shohar ke ek qareebi dost ne Social Media par kiya.

TikTok par paigham mein adakara ke shohar Rashid ke dost ne kaha ke un ke pyare bhai ke ghar bete ki paidaish hui hai jis par woh dil ki gehraiyon se mubarakbad dete hain. Unhon ne caption mein bachay ke liye nek khwahishat ka bhi izhar kiya.

Wazeh rahe ke Neelam Muneer ki shadi January 2025 mein Dubai mein hui thi aur shadi ki tasaveer bhi wahin li gayi thin.