رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Aaiza Khan se Danish Taimoor ki alehdagi ki khabrein jhoot par mabni hain, bhabhi Danish Taimoor

Aaiza Khan se Danish Taimoor ki alehdagi ki khabrein jhoot par mabni hain, bhabhi Danish Taimoor

Pakistani Showbiz jodi Danish Taimoor aur Aaiza Khan ki talaq se mutaliq gardish karne wali afwahon par Danish Taimoor ki bhabhi Sidra Zahid ne wazahat kar di.

Sidra Taimoor ne talaq ki khabron ko bebunyad qarar dete hue kaha ke dono ke darmiyan mazboot rishta qaim hai aur un ke darmiyan kisi alehdagi ki baat durust nahin.

Unhon ne likha ke adakar bhi insaan hote hain, unka bhi dil hota hai, is se pehle jab woh drama Sher ki ikhtitami taqreeb mein gayin, tab bhi unhein troll kiya gaya, aur ab jab woh nahin gayin to bhi unhein trolling ka samna hai, aap sab se guzarish hai ke ghalat afwahon par kaan mat dharein, Danish aur Aaiza dono bohat khush hain.