رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Yaum-e-Istehsal-e-Kashmir: Deputy Commissioner Habib Ahmed Bangulzai ki qiyadat mein Chaman mein izhar-e-yakjehti rally

Yaum-e-Istehsal-e-Kashmir: Deputy Commissioner Habib Ahmed Bangulzai ki qiyadat mein Chaman mein izhar-e-yakjehti rally
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Chaman: Yaum-e-Istehsal-e-Kashmir ke moqe par Deputy Commissioner Chaman Habib Ahmed Bangulzai ki qiyadat mein DC Complex Chaman se aik azeem-ush-shan izhar-e-yakjehti rally nikali gayi. Rally mein DSP Ashfaq Ahmed, qabaili umaidin, mushiran, mukhtalif sarkari mehkamon ke afsaran, siyasi o samaji shakhsiyat, talba aur shehriyon ki bari tadad ne shirkat ki.

Shurka ne “Kashmir banega Pakistan” ke naare lagaye aur aise banners o placards utha rakhe the jin par maqbooza Jammu o Kashmir mein Bharati mazalim, insani huqooq ki sangeen khilaf warziyon aur riyasti jabr ki mazammat darj thi. Rally shehr ki mukhtalif shahraahon se guzri aur Kashmiri awam se bharpoor yakjehti ka izhar kiya gaya.

Shurka se khitab karte hue Deputy Commissioner Habib Ahmed Bangulzai ne kaha ke Kashmiri awam ki jadd-o-jehd-e-azadi ko dabaya nahin ja sakta aur Pakistan ka har shehri un ke haq-e-khud iradiyat ki himayat karta hai. Unhon ne maqbooza Kashmir mein Bharati zulm o barbariyat aur insani huqooq ki pamali ki shadeed mazammat ki aur kaha ke Kashmiri awam ki siyasi, akhlaqi aur insani himayat har satah par jari rakhi jayegi.

Unhon ne kaha ke Kashmiri awam ki azadi tak Pakistan, bil-khusus zila Chaman ke awam, un ke sath shana bashana khare rahenge aur un ke jaiz haq-e-khud iradiyat ke liye har mumkin akhlaqi o safarti himayat jari rakhenge. Rally ke ikhtitam par Kashmiri awam ki azadi, aman aur insaf ke liye khusoosi duaen ki gayin.

Is moqe par Deputy Commissioner Habib Ahmed Bangulzai ne Kashmiri awam se izhar-e-yakjehti ke taur par DC Complex Chaman mein pauda bhi lagaya.

Yaum-e-Istehsal-e-Kashmir ke moqe par munaqida rally mein Deputy Commissioner Chaman Habib Ahmed Bangulzai, DSP Chaman, qabaili umaidin, mushiran, sarkari afsaran aur shehriyon ki bari tadad Kashmiri awam se bharpoor yakjehti ka izhar kar rahi hai

Deputy Commissioner Chaman Habib Ahmed Bangulzai ne Yaum-e-Istehsal-e-Kashmir ke moqe par Kashmiri awam se izhar-e-yakjehti ke taur par DC Complex Chaman mein pauda laga rahe hain