رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

Usta Muhammad mein 12 Rabi ul Awwal par security control room qaim, markazi juloos ki CCTV se nigrani

Usta Muhammad mein 12 Rabi ul Awwal par security control room qaim, markazi juloos ki CCTV se nigrani
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Usta Muhammad: 12 Rabi ul Awwal ke mauqe par markazi juloos, mazhabi ijtimaat aur deegar mazhabi sargarmiyon ke liye foolproof security intezamat yaqeeni banane ki gharaz se Usta Muhammad shehar mein khusoosi security control room qaim kar diya gaya, jis ke zariye markazi juloos ki CCTV cameras se nigrani ki gayi.

Control room SP Usta Muhammad Hafiz Moaz ur Rehman ki zer-e-nigrani qaim kiya gaya, jo khud control room mein maujood reh kar security intezamat ki nigrani karte rahe. Markazi juloos ke routes, aham maqamat aur deegar hassas ilaqon ki musalsal nigrani CCTV cameras ke zariye ki gayi.

Control room mein police afsaran aur ahalkaron ko khusoosi zimmedariyan saunpi gayin jo shehar mein jari mazhabi sargarmiyon, juloos ki naql o harkat aur mujmui Aman o Aman ki surat-e-haal par musalsal nazar rakhe huye the. Kisi bhi hangami surat-e-haal ya nakhushgawar waqiye ki surat mein fori taur par mutaliqa police teamon ko itla de kar barwaqt karrawai yaqeeni banane ka intezam kiya gaya.

SP Usta Muhammad ne security ahalkaron ko hidayat ki ke woh markazi juloos ke routes, dakhli o kharji raston, ibadatgahon aur deegar hassas maqamat par bharpoor chaukas rahen aur fraiz-e-mansabi poori zimmedari, mustaidi aur peshawarana andaz mein anjam den. Unhon ne kaha ke 12 Rabi ul Awwal ke mauqe par shehriyon ko pur-aman aur mahfooz mahaul faraham karna police ki awwaleen tarjeeh hai aur Aman o Aman barqarar rakhne ke liye tamam dastiyab wasail barooye kaar laye ja rahe hain.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan