Surab mein Additional Deputy Commissioner Salman Ali Bulaidi ki qayadat mein Youm-e-Istehsal-e-Kashmir yakjehti rally

Surab: Chief Minister Balochistan Sarfraz Bugti aur Deputy Commissioner Surab Sahibzada Najeebullah ki hidayat par Youm-e-Istehsal-e-Kashmir ke moqe par Additional Deputy Commissioner Salman Ali Bulaidi ki qayadat mein shandar yakjehti rally nikali gayi.
Rally mein Assistant Commissioner Surab Shaye Akbar Ali, mukhtalif zilai mehkamon ke afsaran, asatiza, talba aur shehriyon ki bari tadad ne shirkat ki. Shurka ne Kashmiri awam se yakjehti ke izhar ke liye banners aur placards utha rakhe the.
Rally Deputy Commissioner office se shuru ho kar shehar ke mukhtalif raston se guzri aur dobara Deputy Commissioner office pahunch kar ikhtitam pazir hui. Muqarrireen ne kaha ke Youm-e-Istehsal-e-Kashmir Kashmiri awam ke sath yakjehti ke azm ki tajdeed ka din hai aur Pakistan Kashmiriyon ke haq-e-khud iradiyat ki akhlaqi, siyasi aur safarti himayat jari rakhega.
Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











