Duniya mein 2026 mein saaf tawanai ki nai salahiyat mein kami aaye gi, IRENA ke sarbarah

Singapore: International Renewable Energy Agency (IRENA) ke sarbarah ne kaha hai ke duniya mein 2026 mein paanch saal mein pehli baar saaf tawanai ki nai salahiyat kam shamil hogi.
IRENA ke director general Francesco La Camera ne is ki wajah nakafi tarseeli networks aur tijarati rukawaton ko qarar diya. Unhon ne Singapore International Energy Week conference ke mauqe par Reuters se guftagu ki.
"Is saal izafe ka naya record qayam na hone ki bunyadi wajah bijli paida karne ki salahiyat aur bijli ki taqseem o tarseel ki salahiyat ke darmiyan adam mutabiqat hai," unhon ne kaha.
Shamsi aur hawa se bijli ki salahiyat mein 2021 se har saal tezi aayi hai, jab corona waba ne alami supply chains ko mutasir kiya tha. 2025 mein pan bijli samet saaf tawanai ki tansibat mein record 692 gigawatt (GW) yaani 15.5 feesad izafa hua aur yeh 5,149 gigawatt tak pahunch gayin. Yeh duniya ki bijli ki salahiyat ka nisf hai.
La Camera ne China mein qabil-e-tajdeed tawanai ki tansib mein sust roi ki nishandehi ki. Unhon ne ise katauti (curtailment) se jora, yaani jab grid apni hadd ko pahunch jaye to saaf bijli ko mustarad kar diya jata hai.
China duniya mein qabil-e-tajdeed tawanai ka sab se bara paida kunanda hai. 2026 ki pehli chhamahi mein is ne itni saaf tawanai wapas kar di jo Mexico ko aik saal tak bijli faraham karne ke liye kafi hai.
Australia aur Japan jaise mumalik mein bhi networks qabil-e-tajdeed tawanai ke tezi se barhte hue mansubon ka sath nahin de sake.
"Is saal duniya ke deegar hisson mein (salahiyat mein) jitna izafa hoga, mera nahin khayal ke woh China mein sust roi ki talafi kar sakega," La Camera ne kaha.
Unhon ne is saal saaf tawanai ke izafe ki mutawaqqa sharah ke bare mein koi adadi peshgoi karne se inkar kar diya.
Hukumaton ne qabil-e-bharosa bijli ki faraahmi yaqeeni banane aur lagat kam karne ke liye saaf tawanai ka istemal barhane ka azm kiya hai. America aur Israel ki Iran ke sath jang ke baad, jis ne tawanai ki faraahmi rok di aur qeematen barha dien, is koshish mein mazeed tezi aa gayi.
Qabil-e-tajdeed tawanai ka izafa alami ikhraj kam karne ke liye nihayat aham hai. Aqwam-e-muttahida ne guzishta hafte aik report mein kaha ke global warming ko sust karne ke liye "fori aur sakht" ikhraji katautiyan zaroori hain.











