SP Usta Muhammad Hafiz Moaz-ur-Rehman ki Shahi Bazaar mein Khuli Kachehri, shehriyon ki shikayaat par hidayaat

Quetta: IG Police Balochistan Muhammad Tahir ki hidayat par SP Usta Muhammad Hafiz Moaz-ur-Rehman ne Tehsil Masjid Shahi Bazaar mein Khuli Kachehri ka inaqad kiya, jis mein shehriyon, moazzizeen-e-ilaqa aur tajiron ki badi tadad ne shirkat ki.
SP Usta Muhammad ne awam se barah-e-raast mulaqat kar ke un ke masail, shikayaat aur tajaweez sunein aur shikayaat ke fori izaley ke liye mutalliqa afsaran ko mauqe par hi zaroori hidayaat jari kin.
Unhon ne kaha ke Khuli Kachehriyon ka maqsad police aur awam ke darmiyan baahmi aitemaad mazboot banana, community ki shamooliyat ko farogh dena, awami shikayaat ka barwaqt izala yaqeeni banana aur policing ke nizam ko mazeed moasir banana hai. Unhon ne shehriyon ko yaqeen dilaya ke police awam ke jaan-o-maal ke tahaffuz aur un ke masail ke hal ke liye har mumkin iqdamaat jari rakhegi.
Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











