Sheikhupura mein union councils ke certificates ke liye biometric system ka iftitah

Lahore: Wazir-e-aala Maryam Nawaz ke Digital Punjab, Shaffaf Punjab vision ke tahat mehkama baldiyat aur NADRA ke ishtirak se shehriyon ki sahulat ke liye aham sang-e-meel uboor kar liya gaya hai.

Wazir-e-baldiyat Punjab Zeeshan Rafique ne Sheikhupura shehar ke daure mein union councils mein paidaish, wafat aur shadi certificates ke liye biometric system ka bazabta iftitah kiya.
Company Bagh mein hone wali iftitahi taqreeb mein rukn soobai assembly Peer Ashraf Rasool, Director General Local Government Benish Fatima, DG NADRA, Deputy Commissioner Sheikhupura Rana Adeel Tasawwur, ADC Municipal Services aur shehriyon ki badi tadaad maujood thi.
Naye CRMS biometric system ke aghaz se jaali indraj aur bogus certificates ka khatma ho sakega.
Zeeshan Rafique ne biometric system ke ijra par mehkama baldiyat aur NADRA ki teamon ko khiraj-e-tehseen pesh kiya. Un ka kehna tha ke Wazir-e-aala Maryam Nawaz shehriyon ko ghar ki dehleez par khidmat ki faraham ki qayal hain.
Unhon ne bataya ke is vision ke tahat ab har certificate ka ijra NADRA ke database se biometric tasdeeq ke baad mumkin ho sakega. Un ke mutabiq naye system se nizam mein 100 feesad shaffafiyat aaegi.











