Rukni mein Tajawuzat ke khilaf karrawai, Model Bazar ki 3.5 acre sarkari commercial arazi wagzar

Barkhan: Deputy Commissioner Barkhan Saeed ur Rehman Kakar ki hidayat par Assistant Commissioner Rukni Fahad Hussain Umrani ki zair-e-nigrani Rukni shehr mein Tajawuzat ke khilaf mouassar karrawai amal mein layi gayi, jis ke dauran 3.5 acre qeemati sarkari commercial arazi ko ghair qanooni qabze se wagzar kara liya gaya.
Wagzar karai gayi arazi Rukni Model Bazar ke liye makhsoos hai, jahan taameerati o taraqqiyati kaam jari hain. Yeh karrawai is liye ki gayi taake Model Bazar ke mansube par taraqqiyati kaam muqarrara raftar ke mutabiq jari rakha ja sake.
Is mauqe par Assistant Commissioner Fahad Hussain Umrani ne kaha ke sarkari arazi ka tahaffuz zila intizamia ki zimmedari hai aur sarkari zameen par kisi bhi qism ke ghair qanooni qabze aur Tajawuzat ko bardasht nahin kiya jayega. Unhon ne mutaliqa ahalkaron ko hidayat ki ke wagzar karai gayi arazi ki nigrani yaqeeni banayi jaye aur dobara Tajawuzat qaim na hone di jayen.
Zila intizamia ke mutabiq Rukni Model Bazar ki takmeel se shehriyon aur tajiron ko behtar, munazzam aur sahal tijarati sahuliyat meyassar aayengi, jabke Tajawuzat ke khatme se shehr ki khoobsurti, traffic ke nizam aur majmooi nazm o nasq mein bhi behtari aayegi.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











