رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Quetta Sadr sub-division mein aata zaid nirkh par farokht karne par 11 afrad giraftar

Quetta Sadr sub-division mein aata zaid nirkh par farokht karne par 11 afrad giraftar
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ke ahkamat par Assistant Commissioner Sadr Quetta Muhammad Yousuf Hashmi ki nigrani mein Sadr sub-division ke mukhtalif ilaqon mein aate ki muqarrara nirkh se zaid qeemat par farokht ke khilaf karwai ki gayi.

Karwai ke dauran aata dealers, retailers aur mukhtalif dukanon ka muayena kiya gaya aur sarkari nirkh namon ki janch ki gayi. Zaid qeemat par aata farokht karne aur sarkari nirkh name ki khilaf warzi par 11 afrad ko giraftar kar liya gaya.

Zilai intezamiya ne tajiron ko hidayat ki ke sarkari nirkh nama numayan jagah awezan karein aur aata samet tamam ashya-e-zaroriya muqarrara nirkhon par farokht karein, aur wazeh kiya ke awami shikayat ki roshni mein najaiz munafa khori, masnooi Mehngai aur sarifeen ke istehsal ke khilaf karwaiyan bila imtiaz jari rahein gi.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan