رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Punjab ne kisi ka haq nahin khaya, apne hisse se doosron ko diya: Wazir-e-aala Maryam Nawaz

Punjab ne kisi ka haq nahin khaya, apne hisse se doosron ko diya: Wazir-e-aala Maryam Nawaz

Multan mein electric bus service ki iftitahi taqreeb se khitab karte hue Wazir-e-aala Punjab Maryam Nawaz Sharif ne kaha ke tanqeed mujh par nahin Punjab ki taraqqi par ho rahi hai, un ko 9 arab rupay ke jahaz se takleef hai, jahaz mera nahin woh Wazir-e-aala Punjab ka hai, mein ghar nahin le kar jaoongi.

Wazir-e-aala Punjab Maryam Nawaz Sharif ne kaha ke Sailab ke dauran mutasireen ke paas kashtiyon par bhi gayi, har Wazir-e-aala ke paas sarkari tayyara hai, tanqeed sirf mujh par hoti hai, tanqeed karne walon ko jahaz se nahin Maryam Nawaz ke kaamon se takleef hai.

Maryam Nawaz ne bataya ke meri sahibzadi ki graduation taqreeb thi, jahaz ke istemal par paune 3 crore rupay apni jeb se ada kiye.

Unhon ne kaha ke Khyber Pakhtunkhwa se chand afraad Punjab par hamla karne aaye, Wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa tamasha lagane ke liye zabardasti police ki gari mein baith gaye, Khyber Pakhtunkhwa se aane walon ka Lahore ka daura nakam raha.

Unhon ne electric bus ke mutaliq bataya ke is service ka aam kiraya sirf 20 rupay muqarrar kiya gaya hai, taaham awam ki sahulat ke pesh-e-nazar khawateen, talba o talibaat, maazoor afraad aur 60 saal se zaid umar ke buzurg shehriyon ke liye yeh safar 100 feesad muft hoga.

Wazir-e-aala Maryam Nawaz Sharif ne kaha ke Punjab ki aakhri hadd tak green bus service ko phailaya ja raha hai taake soobe bhar ke awam jadeed aur saste safar ki sahuliyat se mustafeed ho saken.

Unhon ne kaha ke Multan ke tamam routes par green electric buses chalein gi, khusoosi afraad ke liye wheelchair aur ramp ki sahulat di gayi hai, green buson mein khawateen ke tahaffuz ke liye CCTV cameras nasb hain, Punjab mein rehne wala har shakhs meri zimmedari hai, meri hukumat mein koi shakhs bus ki chhat par safar nahin karega.

Un ka kehna tha ke Lahore ke Mayo Hospital mein jadeed cancer ki machine China se le kar aayi thi, Punjab mein doosri machine ka Multan mein iftitah kar ke aayi hoon, is machine ke zariye 2 khawateen ka ilaj hua, un ka interview kar ke aayi hoon, 45 minute mein un ka ilaj hua.