رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Punjab mein cancer ke mareezon ka muft ilaj kiya jaye ga, Azma Bukhari

Punjab mein cancer ke mareezon ka muft ilaj kiya jaye ga, Azma Bukhari

Apne bayan mein Azma Bukhari ne kaha ke wazir-e-aala Punjab Maryam Nawaz ne Multan mein cancer treatment ke liye coalition aur cancer center ka iftitah kar diya hai, jahan cancer ke har stage ke mareezon ka muft ilaj hoga.

Unhon ne kaha ke cancer ke mareezon ko ilaj ke liye taweel tarikhein nahin di jayengi, jabke mareez ka ilaj sirf 60 minute mein mukammal hoga.

Azma Bukhari ka kehna tha ke cancer ke ilaj ki yeh sahulat Punjab mein Sehat ke shobe mein Maryam Nawaz ka bara iqdam hai.

Wazir-e-itlaat Punjab ne bataya ke Lahore mein Pakistan ka sab se bara aik hazar bistaron par mushtamil Nawaz Sharif cancer hospital bhi mukammal ho chuka hai. Un ke mutabiq Nawaz Sharif cancer hospital state of the art project hai aur PKLI ki tarah yeh hospital bhi duniya mein Pakistan ki pehchan banega.

Siyasi muamlat par baat karte hue Azma Bukhari ne kaha ke Maryam Nawaz ka kisi soobai hukumat se koi muqabla ya muwazna nahin. Un ka kehna tha ke jo log karkardagi mein Maryam Nawaz se muqabla nahin kar sakte, woh zaati hamle kar ke awam ko gumrah kar rahe hain.

Azma Bukhari ne mazeed kaha ke kuch logon ki Siyasat hi Maryam Nawaz ke marhoon-e-minnat hai, jabke Maryam Nawaz Punjab ko jadeed tareen aur taraqqi yafta soba bana rahi hain.

Unhon ne Khyber Pakhtunkhwa ki siyasi surat-e-haal par tanqeed karte hue kaha ke aik soobe ka wazir-e-aala dar-ba-dar thokrein khane ke baad wafaq par charhai ki koshish kar raha hai.

Wazir-e-itlaat Punjab ne ilzam aid kiya ke 9 May aur 26 November ki nakam baghawatein bani PTI ke gale ka pehle hi tauq bani hui hain aur 27 September ko teesri baghawat ki mansooba bandi ki ja rahi hai.

Azma Bukhari ne Khyber Pakhtunkhwa ke waledain se appeal ki ke woh apne bachon ko bani PTI ki mubayyina baghawaton se door rakhein. Un ka kehna tha ke bani PTI ke apne bache London mein luxury zindagi guzar rahe hain jabke woh Khyber Pakhtunkhwa ke bachon ko apne maqasid ke liye istemal karna chahte hain