PTI ka long march moakhar: Sohail Afridi ne nayi tareekh ka elan

Unhon ne kaha ke long march haqiqi azadi ke liye kiya ja raha hai, ehtijaj ko moakhar karna siyasi hikmat-e-amali thi, tahum ab 4 October ko karkun rawana honge.
Wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa ka kehna ke karkunon mein is martaba jo ghussa paya ja raha hai, aisa ghussa tareekh mein nahin dekha, tahum long march ke baad bhi muzakirat aur dialogue ka silsila jari rahega.
Sohail Afridi ne wafaqi hukumat par tanqeed karte hue kaha ke karkunon ki giraftariyon aur police ke sath rawaiye ke bajaye muamlat ko siyasi taur par hal kiya jaye, PTI Pakistan ke sath khari hai aur mulk ko taqseem nahin hone degi.
Unhon ne mutalba kiya ke Islamabad khola jaye aur adalati ahkamat par amalDaramad kiya jaye, basurat-e-deegar PTI karkun apna ehtijaj











