Pehli sehmahi mein bairooni qarzon mein 200 feesad izafa, hukumat ne 5.45 arab dollar qarz liya

Islamabad: Wafaqi hukumat ke qarzon ke aadad o shumar samne aa gaye hain. Dastavez ke mutabiq rawan maali saal ke pehle 3 maah mein bairooni qarzon mein 200 feesad izafa hua hai.
July ta September 5 arab 44 crore 96 lakh dollar ka bairooni qarza liya gaya, jo guzishta maali saal ki isi muddat ke muqable mein 3 arab 63 crore dollar zyada hai. Pakistan ne guzishta maali saal ki pehli sehmahi mein 1.81 arab dollar bairooni qarza liya tha.
Iqtisadi umoor division ke mutabiq Pakistan ne alami bonds ke zariye 2.94 arab dollar qarza liya. Naya Pakistan certificate ki mad mein 94 crore 27 lakh dollar bairooni qarz mila, jabke bairooni commercial banks se 30 crore dollar qarz hasil kiya gaya.
Zer-e-jaiza arse ke dauran alami idaron se 89 crore 41 lakh dollar aur mukhtalif mumalik se 5 crore 81 lakh dollar mile. Alami bank ne 35 crore 90 lakh dollar aur ADB ne 15 crore 35 lakh dollar qarz diya.
Dastavez ke mutabiq pehle teen maah mein 1 hazar 515 arab rupay ke musawi bairooni qarz liya gaya, aur guzishta maali saal ke muqable mein aik hazar arab rupay se zyada izafi qarza mila.
Iqtisadi umoor division ke mutabiq bairooni qarze mein 1 hazar 260 arab rupay se zaid ka non project loan shamil hai, jabke mukhtalif mansoobon ke liye project loan ki mad mein 254 arab 80 crore rupay mile.











