رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Pakistan ke pehle wildlife hospital ki tameer mukammal, 12 operation theatres qayam

Pakistan ke pehle wildlife hospital ki tameer mukammal, 12 operation theatres qayam

Mehkama jangalat o wildlife command and control center ke daure ke moqe par Punjab ki senior soobai wazir Maryam Aurangzeb ko ijlas mein wildlife hospital samet mukhtalif mansoobon par briefing di gayi.

Ijlas ko bataya gaya ke jadeed sahuliyat se aarasta Pakistan ke pehle wildlife hospital mein 12 operation theatres aur 2 muaina rooms qayam kiye gaye hain.

Soobai wazir Maryam Aurangzeb ne kaha ke wazir-e-aala Maryam Nawaz Sharif ke vision ke tehat wildlife hospital ka qayam jangli hayat ke ilaj aur tahaffuz ke hawale se aham sang-e-meel hai.

Ijlas mein wazir-e-aala Punjab ki janib se Jallo Park ko public private partnership model ke tehat jadeed eco tourism markaz banane ke liye master plan aur business plan tayyar karne ki hidayat se bhi agah kiya gaya.

Jangalat mein atashzadgi ki barwaqt nishandahi ke liye jadeed Technology se lais nizam nasb karne ka faisla bhi kiya gaya, ijlas ko bataya gaya ke AI, long range thermal cameras, live surveillance aur satellite monitoring ke zariye jangalat ki nigrani ki ja rahi hai.

Briefing mein bataya gaya ke ek saal mein 5 crore paudhe lagane ka tareekhi sang-e-meel uboor kar liya gaya hai, jabke monsoon Shajarkari muhim ke dauran mazeed ek crore se zaid paudhe lagaye ja rahe hain, awam ki shamooliyat se Ghazi Ghat mein 1500 acre raqbe par Shajarkari bhi ki jaye gi.

Ijlas ko bataya gaya ke soobe mein 285 geo tagging nurseries faal ho chuki hain, jahan har paudhe ka mukammal record murattab karne ke sath digital monitoring yaqeeni banayi ja rahi hai.

Safari mein giraffe cafe aur tree house cafe ki tameer bhi mukammal kar li gayi hai, donon cafe awam ko tafreeh ki jadeed aur aalami miyar ki sahuliyat faraham karenge aur qudrati mahaul mein eco tourism ke farogh ke liye nayi sahulat sabit honge.

Briefing ke mutabiq paanch hazar se zaid ahalkaron par mushtamil forest rangers force mein pehli baar 215 khawateen bhi shamil ki gayi hain, lakdi chori ke khilaf karrawaiyon ke dauran ek crore rupay se zaid ke jurmane bhi aid kiye gaye.

Ijlas mein Changa Manga, safari aur deegar wildlife mansoobon par pesh raft ka jaiza liya gaya aur eco tourism ke farogh ke liye iqdamat mazeed tez karne ki hidayat ki gayi.

Senior soobai wazir Maryam Aurangzeb ne jangalat ki live monitoring, geo tagging, satellite surveillance aur jadeed Technology ke istemal ka bhi muaina kiya.

Mauzuaat: