رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Opposition ke shor sharabe mein Sindh Local Government Act 2026 kasrat-e-raye se manzoor

Opposition ke shor sharabe mein Sindh Local Government Act 2026 kasrat-e-raye se manzoor

Sindh Assembly ke ijlas mein wazir-e-qanoon Zia ul Hassan Lanjar ne baldiyati qawanin mein tarameem se mutaliq Sindh Local Government Act 2026 aiwan mein pesh kiya, jis par opposition arkan ne shadeed ehtijaj kiya aur aiwan mein naara bazi ki.

Opposition arkan ne ehtijajan bill ki copies phaar dein, taham shor sharabe ke dauran bill par voting karai gayi aur Sindh Assembly ne Sindh Local Government Act 2026 kasrat-e-raye se manzoor kar liya, baad azan ijlas Mangal ko seh pehar 3 baje tak multawi kar diya gaya.

Ijlas ke baad opposition jamaaton ne bill ki manzoori ko mustarad karte hue court se rujoo karne ka elan kiya, opposition rukn Shabbir Qureshi ne kaha ke woh Local Government bill ko mustarad karte hain, jabke 2023 mein horse trading ke zariye Murtaza Wahab ko musallat kiya gaya tha, dobara aisa hua to dhandhli ka guman yaqeen mein badal jaye ga.

Jamaat-e-Islami ke rukn Muhammad Farooq ne kaha ke Local Body Act mein baldiyati idaron ko ikhtiyarat nahin diye gaye, 18wein tarmeem ke baad bhi ikhtiyarat hukumat ne apne paas rakh liye hain, siyasi muntakhab afraad ko intikhabat na hone ki soorat mein siyasi administrator banane ki tarmeem jamhooriyat ke khilaf hai.

Muhammad Farooq ka kehna tha ke PTI, Jamaat-e-Islami aur MQM ne bill ki mukammal mukhalifat ki hai, Jamaat-e-Islami bill ke khilaf court jaye gi kyunke yeh bill jamhooriyat dushman hai aur awam ke huqooq ka tahaffuz nahin karta.

MQM ke qaid-e-hazb-e-ikhtilaf Ali Khurshidi ne Sindh hukumat par siyasi amriyat ka ilzam aid karte hue kaha ke assembly ke tamam deegar business ko ek taraf rakh kar achanak bill manzoor kiya gaya, parliament ke andar aur bahar tamam siyasi jamaaten bill ko mustarad karti hain, ek taraf PPP aur doosri taraf Sindh ke awam hain.

Ali Khurshidi ka kehna tha ke baldiyati ikhtiyarat se mutaliq Supreme Court ka faisla maujood hai lekin Sindh hukumat bill manzoor karke adalati faisle ki tauheen kar rahi hai. Unhon ne kaha ke aksariyat ki bunyad par ghalat faisle kiye ja rahe hain aur hukumat ka rawaiya amrana hai, aisi jamhooriyat ko Sindh ke awam mustarad karte hain.

Mauzuaat: