رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Nushki mein do dhamakon aur firing ki awazein, bazar band, mutaddid afraad zer-e-hirasat

Nushki: Nushki shehar mein do dhamakon aur firing ki awazein suni gayin, jis ke baad awam mein khauf o haras phail gaya.

Firing aur rocket dhamakon ke khauf se dukanein band ho gayin aur bazar mein bhagdar mach gayi. Dekhte hi dekhte poora bazar band hona shuru ho gaya.

Police ke mutabiq firing ke waqiat mein kisi jani ya maali nuqsan ki ittela mausool nahin hui.

Dusri jaanib security forces ne waqiye ke baad shehar ke dakhli aur kharji raston par security sakht kar di hai. Khaisar nale mein maghribi bypass par bhi security barha di gayi.

Ittelaat ke mutabiq security forces ne Killi Gharib Abad, Killi Faqiran, Killi Muhammad Hasni aur Khaisar nale se mutaddid afraad ko hirasat mein liya.

Sham ko bazar mein dukanein juzvi taur par dobara khul gayin.