Naseerabad mein Jashn-e-Azadi par monsoon Shajarkari muhim ka iftitah, Sadiq Umrani aur commissioner Noorzai ne paudhe lagaye

Naseerabad: Jashn-e-Azadi ke mauqe par monsoon Shajarkari muhim ka baqayda iftitah commissioner office Naseerabad ke ahate mein kiya gaya, jis ke intezamat deputy conservator forest Naseerabad Naeem Lehri ki sarbarahi mein mukammal kiye gaye the.
Soobai wazir irrigation Mir Muhammad Sadiq Umrani, soobai parliamentary secretary baraye excise and taxation wa rukn soobai assembly Haji Muhammad Khan Lehri, commissioner Naseerabad Division Salahuddin Noorzai, DIG Naseerabad range Kamran Nawaz, PPP ke divisional sadr Mir Bilal Sadiq Umrani aur siyasi wa qabaili rahnuma Abdul Rauf Lehri ne paudhe laga kar muhim ka iftitah kiya. SSP Asad Nasir, wing commander colonel Rizwan Tayyab aur superintending engineer irrigation circle Mudassir Zafar Khosa bhi maujood the. Shajarkari muhim ki kamyabi aur Pakistan ki salamti, khushhali, aman wa istehkam ke liye khusoosi dua ki gayi.
Soobai wazir Mir Muhammad Sadiq Umrani, parliamentary secretary Haji Muhammad Khan Lehri aur commissioner Salahuddin Noorzai ne kaha ke darakht qudrat ka qeemti tohfa aur mahol ke tahaffuz ki zamanat hain. Shajarkari ko qaumi fareeza samajhte hue zyada se zyada paudhe lagaye jayen aur un ki hifazat wa nigahdasht bhi yaqeeni banayi jaye. Sarsabz wa shadab Pakistan aane wali naslon ke mahfooz aur roshan mustaqbil ki zamanat hai, aur Jashn-e-Azadi par Shajarkari muhim ka aghaz watan ko sarsabz, saaf aur khushhal banane ke azm ka izhar hai.


Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











