Muhammad Aurangzeb ki Lazard ke wafd se mulaqat, Kan Kani mein sarmaya kari aur credit rating par guftagu

Bangkok: Wafaqi wazir-e-khazana o mahsulat Senator Muhammad Aurangzeb ne Juma ko Lazard ke wafd se mulaqat ki.
Thailand ke shehar Bangkok mein World Bank Group aur IMF ke salana ijlason ke mauqe par hone wali mulaqat mein Kan Kani ke shobe mein sarmaya kari, maliyati tanawwo aur Pakistan ki khudmukhtar credit rating se mutaliq umoor par tabadla-e-khayal kiya gaya.
Maali moawanat ki tajaweez
Wazarat-e-khazana ki janib se jari bayan ke mutabiq wazir-e-khazana ne mushtarka maali moawanat, paidari se hum aahang qarzon, zamanat yafta sukuk aur qarzon ke tabadle se mutaliq tajaweez ka khair maqdam kiya. In iqdamat ka maqsad maali wasail ke husool ke zaraye ko wusat dena aur maali moawanat ki sharait ko behtar banana hai.
Unhon ne International capital markets tak Pakistan ki bahal shuda rasai aur mazeed bonds ke ijra ke mansubon, bashumol Panda bonds ko bhi ujagar kiya.
Wazir-e-khazana ne akhrajat mein nazm o zabt barqarar rakhne, maali wasail ke husool ki darmiyani muddat ki hikmat-e-amli se hum aahangi aur sazgar mandi halat se faida uthane ke liye pesh gi tayyari ki ahmiyat par zor diya.
Credit rating aur aainda rabta
Donon janib se khudmukhtar credit rating se mutaliq mushawati moawanat, policyon mein tasalsul aur maashi lachak ko mazboot banane par guftagu hui, take double B credit rating ke darje ki janib pesh raft mumkin ho sake.
Mulaqat mein ittefaq kiya gaya ke aainda rabta kari Debt Management Office aur State Bank of Pakistan ke zariye ki jaye gi, jabke Lazard ne apni sifarishat par mushtamil ek mukhtasar note pesh karne ki tajweez di.











