Kohlu mein sarkon, pani, bijli aur nikasi-e-ab ke tarqiyati mansobon par kaam tez

Kohlu: rukn-e-sooba-i assembly Nawab Changez Marri ki hidayat par zila mein tarqiyati mansobon ko tez kar diya gaya hai.
Awam ki falah o behbood aur bunyadi sahuliyat ki faraahmi ke liye amad-o-raft ke zaraye, bijli ki bila ta’attul faraahmi, peene ke saaf pani ke liye filtration o boring ki schemon, Sehat ki bunyadi sahuliyat aur shehri o dehi ilaqon mein galiyon aur naliyon ki paedar tameer samet mutaddid mansobon par marhala war amal-daramad shuru ho chuka hai.
In mansobon ka bunyadi maqsad awam ko dar-pesh rozmarra masail ka derpa hal aur shehriyon ko behtar miyar-e-zindagi faraham karna hai.
Kohlu Sibi sarak samet zila ko mukhtalif Azla se milane wali sarkon ki tameer o bahali se awam ko safari sahulat milegi aur maashi o tijarati sargarmiyon ko bhi farogh hasil hoga.
Tehsil Kohlu aur tehsil Mawand ke shehri o dehi ilaqon mein galiyon aur naliyon ko tuff tile lagane aur az sar-e-nau tameer ke mansobon se nikasi-e-ab ka nizam mooassir banaya ja raha hai taake safai aur mahaul-iyati behtari yaqeeni ho.
Rukn-e-sooba-i assembly ne tamam mansobon mein shaffafiyat, miyar aur waqt par takmeel ke liye thos iqdamat par zor diya hai. Mutalliqa mahkamon ko wazeh hidayat jari ki gayi hain ke schemon par muqarrara miyar ke mutabiq amal-daramad kiya jaye aur kisi bhi kotahi ya ghaflat ko bardasht nahin kiya jaye ga.
Kohlu ke shehriyon ne Nawab Changez Marri, FC Balochistan aur zilai intizamiya ki awam dost policyon ki tareef ki. Un ka kehna tha ke awami masail ke hal ke liye bharpoor azm ke sath kaam ka aghaz aik musbat amal hai.
Shehriyon ne bunyadi masail tarjihi bunyadon par hal karne par rukn-e-sooba-i assembly ka shukriya ada kiya aur kaha ke tarqiyati mansobon ke samrat jald awam tak pahunchein ge, jis se zila mein majmooi tarqi, sahuliyat ki behtari aur awami falah ke ahdaf hasil ho saken ge.











