رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Jafarabad

Jafarabad mein Deputy Commissioner Khalid Khan ki hidayat par Youm-e-Istehsal-e-Kashmir rally, aqalliyati biradari bhi shareek

Jafarabad mein Deputy Commissioner Khalid Khan ki hidayat par Youm-e-Istehsal-e-Kashmir rally, aqalliyati biradari bhi shareek
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Jafarabad: Deputy Commissioner Jafarabad Khalid Khan ki hidayat par Youm-e-Istehsal-e-Kashmir ke mauqe par Kashmiri awam se izhar-e-yakjehti ke liye rally nikali gayi, jis mein Additional Deputy Commissioner Huzoor Bakhsh Bugti, Assistant Commissioner Dhiraj Kalra, Chief Officer Municipal Corporation Ahmed Nawaz Jatak, mukhtalif zilai mahkamon ke sarbarahan o numainday, civil society aur aqalliyati biradari ke afraad ne shirkat ki.

Shurka ne hathon mein qaumi aur Kashmiri parcham utha rakhe the jabke banners par Youm-e-Istehsal-e-Kashmir se mutaliq nare darj the. Rally shehr ke mukhtalif raston se hoti hui wapas Deputy Commissioner office pahunchi.

Apne paigham mein Deputy Commissioner Khalid Khan ne kaha ke Bharat zulm o jabr ke bawajood Kashmiri awam ko haq-e-khud iradiyat ki jaddojehd se dastbardar nahin kar saka, aur hum Kashmiri awam ki jurat, bahaduri aur qurbaniyon ko khiraj-e-tehseen pesh karte hain.

Unhon ne kaha ke Pakistan Kashmiri awam ki siyasi, safarati aur akhlaqi himayat har satah par jari rakhega, aur insha Allah woh din zaroor aayega jab Kashmiri awam Bharati tasallut se azadi hasil kar ke aman, waqar aur apne bunyadi huqooq ke sath zindagi guzarenge.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan