رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

Jafarabad: Government Boys Primary School Goth Mubarak Mengal mein izafi class room ka iftitah

Jafarabad: Government Boys Primary School Goth Mubarak Mengal mein izafi class room ka iftitah
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Jafarabad: Deputy Commissioner Jafarabad Khalid Khan ke ehkamat ki roshni mein Assistant Commissioner Jhatpat Dhiraj Kalra aur Additional Deputy Commissioner Jafarabad Huzoor Bakhsh Bugti ne mehkama Taleem ke izafi class rooms ke project ke tehat Government Boys Primary School Goth Mubarak Mengal mein tameer kiye gaye izafi class room ka iftitah kar diya.

Is moqe par taleemi sahuliyat ki behtari aur talba ko miyari taleemi mahol faraham karne ki ahmiyat par zor diya gaya. Izafi class room ki tameer se school mein tadrisi sargarmiyon ke liye mazeed jagah dastyab hogi, jis se talba ko behtar mahol mein taleem hasil karne aur asatiza ko tadrisi umoor anjam dene mein sahulat milegi.

Zilai intezamia Jafarabad ki janib se taleemi idaron mein bunyadi sahuliyat ki faraahmi aur taleemi nizam ko behtar banane ke liye iqdamat jari hain, taake ilaqe ke bachon ko behtar taleemi mawaqe mil saken.

Jafarabad: Assistant Commissioner Dhiraj Kalra aur Additional Deputy Commissioner Huzoor Bakhsh Bugti ka school ke bachon aur asatiza ke sath group photo
Jafarabad: Assistant Commissioner Dhiraj Kalra aur Additional Deputy Commissioner Huzoor Bakhsh Bugti ka school ke bachon aur asatiza ke sath group photo

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan