Jacobabad Sum Nala tanaza: Balochistan ki NOC ke baghair taamirati kaam shuru nahin hoga, Sindh hukkam ki yaqeen dehani

Jacobabad: Mutanaza Jacobabad Sum Nale ke maamle par Balochistan ke sakht tahaffuzat ke baad aham pesh raft samne aayi hai. Commissioner Naseerabad Division Salahuddin Nurzai ki hidayat par Deputy Commissioner Jafarabad Khalid Khan, Deputy Commissioner Sohbatpur Farida Tareen aur Superintending Engineer Irrigation Circle Naseerabad Mudassir Zafar Khosa ne Sindh hukkam se mulaqat kar ke mutanaza Sum Nale ka mushtarka muaina kiya.
2010 jaise Sailab ka khadsha
Balochistan ke wafd ne Deputy Commissioner Jacobabad Shahzad Ahmed Sahi ko do took andaz mein aagah kiya ke Main Hairdin Drainage System Jacobabad ke izafi pani ka dabao bardasht karne ki salahiyat nahin rakhta, aur agar Sum Nale ka pani is mein shamil kiya gaya to Sohbatpur, Jafarabad aur Usta Muhammad jaise Azla ko 2010 ke super flood jaisi tabahi ka samna karna pad sakta hai.
Superintending Engineer Mudassir Zafar Khosa ne wazeh kiya ke Sindh hukumat behtar aur mehfooz hal talash karne ke liye Balochistan se mushawarat kare aur baqaida NOC hasil kare taake sarhadi Azla ke awam ke khadshat door hon.
Deputy Commissioner Jacobabad Shahzad Ahmed Sahi ne yaqeen dehani karayi ke Balochistan hukumat ki NOC ke baghair mutanaza Sum Nale par kisi qism ka taamirati kaam dobara shuru nahin kiya jayega aur bain-ul-subai hum ahangi ke baad hi aainda ka lai’ha amal tay hoga.
Ijlas aur muaine mein SSP Sohbatpur Khalil Ahmed, Executive Engineer Jacobabad Moazzam Ali, Assistant Commissioner Jafarabad Dheeraj Kalra aur Sub Divisional Officer Abid Ali Khosa bhi mojood the.


Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











