Jacobabad ka mutanaza sum nala Main Hairdin Drainage mein shamil nahin hone dein ge: Commissioner Naseerabad Salahuddin Nurzai

Naseerabad: Commissioner Naseerabad Division Salahuddin Nurzai ne Deputy Commissioner Sohbatpur Farida Tareen, Superintending Engineer Irrigation Circle Mudassir Zafar Khosa, Assistant Commissioner Sohbatpur Saifuddin Khosa, Sub Divisional Officer Drainage Abid Ali Khosa aur Imtiaz Ali Khosa ke hamrah Jafarabad aur Sohbatpur ke sangam par waqe RD 110 ke maqam par Main Hairdin Drainage system ka daura kiya.
Commissioner ne Noor Wah ke zariye Jacobabad sum nale ko Main Hairdin Drainage system mein dalne ka tafseeli jaiza liya aur Jacobabad ke mutanaza sum nale se mutalliq briefing hasil ki. SE Irrigation Mudassir Zafar Khosa ne Sindh Irrigation hukkam ki jaanib se Noor Wah ke zariye mutanaza sum nale ka pani shamil karne ki surat-e-haal se aagah kiya.
Is par Commissioner Salahuddin Nurzai ne hidayat ki ke shigaf ko fori taur par pur kiya jaye taake Sindh Noor Wah ke zariye pani Main Hairdin Drainage mein shamil na kar sake.
Unhon ne wazeh kiya ke Jacobabad ke mutanaza sum nale ke mamle par Commissioner Larkana Division se musalsal rabte mein hain aur kisi surat ise Jafarabad aur Sohbatpur ke sangam par waqe Main Hairdin Drainage mein shamil nahin hone diya jaye ga, kyunke yeh Balochistan ke teen Azla ke liye sangeen nataij ka baais ban sakta hai.
Unhon ne kaha ke tamam tahaffuzat aur shikayat baahmi guftagu se hal karne ke liye Naseerabad Division ki team Sindh ke mutalliqa hukkam se mushawarat kare gi aur hukkam-e-bala ki hidayat par amal-daramad yaqeeni bana kar is mamle se mutalliq khadshat ka mouassir khatma kiya jaye ga.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











