رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Islamia University Bahawalpur ki hudood mein TikTok aur Social Media apps par pabandi

Islamia University Bahawalpur ki hudood mein TikTok aur Social Media apps par pabandi
File photo: Islamia University Bahawalpur ka campus — Tasveer: Bashukriya tribune.com.pk

Bahawalpur: Islamia University Bahawalpur ne jamia ki hudood mein TikTok aur deegar Social Media apps ke istemal par pabandi aid kar di hai.

Directorate of Students Affairs ki jaanib se digital apps par pabandi ka notification jari kar diya gaya. Notification ke mutabiq TikTok, Snack Video samet deegar Social Media apps par pabandi hogi.

Ailamiye ke mutabiq talibat ki ijazat ke baghair Videos banane aur Social Media par upload karne ki shikayat mausool huin. Talibat ki privacy aur izzat-e-nafs ke tahaffuz ke pesh-e-nazar yeh iqdam uthaya gaya.

Notification mein kaha gaya hai ke apps par ghair akhlaqi mawad banane ya phailane ke cases disciplinary committee ko bhejwaye jayenge, jabke khilaf warzi karne wale ke khilaf tadeebi karrawai ki jayegi.