رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Danish School ki fariq-ut-tahsil Dr Alina ki guftagu, Prime Minister Shehbaz Sharif aabdeeda ho gaye

Danish School ki fariq-ut-tahsil Dr Alina ki guftagu, Prime Minister Shehbaz Sharif aabdeeda ho gaye

Islamabad: Danish School se fariq-ut-tahsil Dr Alina ki guftagu ne sab ko rula diya.

Dr Alina ne kaha ke walid ka saya sar par na hona bari mehrumi hai, yateem ke khwab adhoore hi reh jate hain, ek darzi ki beti doctor banne ka khwab kaise dekh sakti hai. Unhon ne kaha: Prime Minister Shehbaz Sharif, hamein ek Danish School jaisa khandan aur ghar dene ke liye aap ka shukriya.

Unhon ne kaha ke un ki zindagi mein walid ka kirdar Prime Minister ne ada kiya hai. Un ke liye nayi kitabein, naya bag aur naye shoes sab khush kun tha.

Prime Minister Dr Alina ki kahani sun kar aabdeeda ho gaye. Dr Alina ne kaha: Khak se sar ka taj banane ke liye Prime Minister aap ka shukriya, mere paas aap ka shukriya ada karne ke liye alfaz nahin.

Prime Minister ne Dr Alina ke sar par dast-e-shafqat rakha aur hausla afzai ki.