Harnai: Security sooratehal ke pesh-e-nazar Deputy Commissioner Arshad Hussain Jamali ka Main Bazar ka paidal daura, tajiron se mulaqatein

Harnai: Zila Harnai mein haliya security sooratehal aur Aman o Aman ke pesh-e-nazar Deputy Commissioner Harnai Arshad Hussain Jamali ne Main Bazar ka tafseeli daura kiya. Is dauran unhon ne maqami dukandaron, tajir biradari aur shehriyon se barah-e-raast mulaqatein kein, ilaqe ki sooratehal ka jaiza liya aur security iqdamat se mutaliq awami khadshat sune.
Deputy Commissioner ne bazar ke mukhtalif hisson ka paidal daura kiya aur rehri banon, dukandaron aur kharidaron se ghul mil gaye. Unhon ne tajir biradari ko darpesh masail aur tahaffuz se mutaliq khadshat ka tafseeli jaiza liya.
Guftagu karte hue unhon ne kaha ke intizamia aur security idare har lamha bedar hain aur awam ke shana ba shana khade hain. Unhon ne tajiron ko bataya ke bazaron aur tijarati markaz ki security fool proof banane ke liye tamam dastiyab wasail kaar laye ja rahe hain taake rozmarra Karobar baghair kisi khauf o khatar ke jari reh sake.
Unhon ne tajir biradari aur shehriyon par zor diya ke woh afwahon par dhyan na dein, mushkook anasir par kari nazar rakhein aur intizamia aur security forces ke sath mukammal taawun barqarar rakhein. Tajir biradari ne Deputy Commissioner ki bazar aamad aur barah-e-raast rabte ko saraha aur Aman o Aman ke qayam ke liye intizamia se har mumkin taawun ki yaqeen dehani karayi.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











