Hafizabad mein mehnat kash par tashaddud, donon mulzimaan girftar

Police ke mutabiq mulzimaan ne naujawan ke sar ke baal, bhanwain aur moonchhein moond kar munh kala kiya, naujawan ke gale mein juton ka haar daal kar gadhe par bithaya aur mohalle ka chakkar lagwate rahe.
DPO Hafizabad ne kaha ke mutasira naujawan ko har soorat insaf faraham kiya jaye ga.
Mauzuaat:Punjab











