Gwadar: Zila ke sarkari hospitalon aur marakiz-e-sehat ke liye mukhtas adviyat pahunch gayin
Gwadar: Rukn soobai assembly Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ki koshishon aur mehkama sehat Balochistan ke taawun se zila Gwadar ke sarkari hospitalon aur marakiz-e-sehat ke liye mukhtas adviyat Gwadar pahunch gayin.
Adviyat mein Mir Abdul Ghafoor Kalmati Teaching Hospital Gwadar, RHC Pasni, Ormara, Sarbandan, tehsil headquarter hospital Jiwani aur deegar marakiz-e-sehat ke liye adviyat shamil hain, jo mutalliqa tibbi idaron ke hawale ki jayengi.
Is mauqe par District Health Officer Gwadar Dr Yasir Tahir aur Medical Superintendent Mir Abdul Ghafoor Kalmati Teaching Hospital Dr Hafeez Baloch Gwadar ne rukn soobai assembly Maulana Hidayat ur Rehman Baloch, soobai wazir sehat aur secretary sehat Balochistan ka shukriya ada karte hue kaha ke adviyat ki faraahmi se sarkari hospitalon mein mareezon ko ilaj muaalije ki sahuliyat behtar banane mein madad milegi.











