رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Gwadar mein Mahigeeron ki boats rally: 100 kishtiyan sabz hilali parchamon ke sath samundar mein

Gwadar mein Mahigeeron ki boats rally: 100 kishtiyan sabz hilali parchamon ke sath samundar mein
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: 79ween Youm-e-Azadi ke mauqe par Gwadar ke Mahigeeron aur shehriyon ne watan-e-azeez se walihana mohabbat, qaumi yakjehti aur hubb-ul-watni ke izhar ke liye samundar mein shandar boats rally nikali. Rally mein taqriban 100 kishtiyon ne shirkat ki, jinhen qaumi aur sabz hilali parchamon se sajaya gaya tha.

Boats rally ka aaghaz Gwadar jetty se hua aur kishtiyon ka qafila samundar mein taqriban 2 nautical mile tak gaya. Mahigeeron aur shehriyon ne qaumi parcham lehrate hue Pakistan se apni wabastagi ka izhar kiya.

Rally ke zariye Gwadar ki Mahigeer biradari ne azm zahir kiya ke woh mulk ki taraqqi, khushhali aur istehkam mein bharpoor kirdar ada karti rahegi. Sahil par munaqida yeh munfarid sargarmi Youm-e-Azadi ki taqribat ka numayan hissa bani aur is ne yeh paigham diya ke Gwadar ke sahil se samundar ki wusaton tak Pakistan ka sabz hilali parcham qaumi ittehad, aman aur taraqqi ki alamat hai.

Gwadar: 79ween Youm-e-Azadi ke mauqe par Mahigeeron ki jaanib se boats rally nikali ja rahi hai
Gwadar: 79ween Youm-e-Azadi ke mauqe par Mahigeeron ki jaanib se boats rally nikali ja rahi hai
Gwadar: Gwadar ke bachche aur bachiyan 79ween Youm-e-Azadi josh o jazbe ke sath mana rahe hain
Gwadar: Gwadar ke bachche aur bachiyan 79ween Youm-e-Azadi josh o jazbe ke sath mana rahe hain

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan