Gwadar mein haftah roza Shajarkari muhim aur phoolon ki numaish ki tayyariyan, taleemi idaron ke sarbarahan se mulaqatein

Gwadar: Rukn-e-soobai assembly Gwadar Maulana Hidayat-ur-Rehman Baloch ki zer-e-sadarat guzishta roz Gwadar mein haftah roza Shajarkari muhim ke inaqad ka elan kiya gaya tha, jis ke tahat Shajarkari, phoolon ki numaish aur mahoolyat o Shajarkari se mutaliq agahi faraham ki jaye gi.
Muhim ki tayyariyon ke silsile mein Maulana Hidayat-ur-Rehman Baloch ke moavin-e-khusoosi Waseem Samad aur deputy conservator jangalat Asadullah ne Government Girls Degree College ki principal aur Government Boys High School Jadeed samet deegar taleemi idaron ke sarbarahan se mulaqatein kin aur program ke intezamat, Shajarkari, talba ki shirkat, phoolon ki numaish aur deegar zaroori umoor par tabadla-e-khayal kiya.
Is mauqe par taleemi idaron aur mutaliqa mehkamon ke taawun se muhim ko muassir andaz mein munaqid karne aur Gwadar mein Shajarkari, mahoolyati tahaffuz aur shehar ki khoobsurti ke hawale se awami shaoor ujagar karne par bhi guftagu ki gayi.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











