رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Gwadar: Maa Ji Care Center mein manshiyat se mutasira afrad ki bahali ke liye islahi theatre show

Gwadar: Maa Ji Care Center mein manshiyat se mutasira afrad ki bahali ke liye islahi theatre show
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Gwadar Art Academy ki janib se Maa Ji Care Center Gwadar mein zer-e-ilaj manshiyat se mutasira afrad ki bahali, hausla afzai aur manshiyat ke khilaf shaoor ujagar karne ke liye aik khusoosi islahi theatre show ka inaqad kiya gaya.

Taqreeb ke mehmanan-e-khusoosi mein Deputy Education Officer Gwadar Muhammad Hasan Islam, UNICEF Gwadar ke District Manager Adil Nodezai, RCDC Gwadar ke sabiq sadr Sir Nasir Rahim Sohrabi, Gwadar Civil Society ke sadr Muhammad Jan aur senior film maker Khair Jan Khairol shamil the. Mukhtalif sarkari o nijee idaron ke numainadon, samaji tanzeemon aur muazziz shehriyon ne bhi shirkat ki.

Muqarrireen ne kaha ke manshiyat ke khilaf agahi, barwaqt ilaj, bahali aur muashrati taawun hi is nasoor ke muassir tadaruk ka zariya hain. Unhon ne kaha ke naujawan nasl ko manshiyat se mehfooz rakhne aur mutasira afrad ko baizzat zindagi ki taraf wapas lane ke liye aise islahi aur agahi programme waqt ki aham zaroorat hain.

Gwadar Art Academy ke fankaron ne manshiyat ke muzir asraat, bahali ki ahmiyat aur musbat tarz-e-zindagi par mabni sabaq amoz drame pesh kiye, jabke Maa Ji Care Center mein zer-e-ilaj mareezon ne bhi apni shandar performance se hazireen ko mutasir kiya, jise khoob saraha gaya.

Theatre show ke zariye yeh paigham diya gaya ke mazboot irade, musalsal ilaj, khandani taawun aur muashrati qabooliyat ke zariye manshiyat ki laanat par qabu pa kar aik sehat mand, bawaqar aur kamyab zindagi ka dobara aghaz mumkin hai.

Deputy Education Officer Gwadar Muhammad Hasan Islam o digar Maa Ji Care Center mein manshiyat se mutasira afrad se khitab kar rahe hain
Deputy Education Officer Gwadar Muhammad Hasan Islam o digar Maa Ji Care Center mein manshiyat se mutasira afrad se khitab kar rahe hain

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: